Wednesday, 5 February 2014

*MASLA NAMAAZ E WITR ME DUAA E QUNOOT KE WAQT RAFA YADAIN KARNE KA*

*MASLA NAMAAZ E WITR ME DUAA E QUNOOT KE WAQT RAFA YADAIN KARNE KA*



 Dosto! Aap Sabse Pehle Ye Baat Zahen Nasheen Karlen Ke Kabhi Sawaal To Hota Hai Tehqeeq Ke
Liye…Aur Kabhi Sawaal Ka Mansha Mahez Sharaarat Hota Hai Jaisake Ghair Muqallideen y
Ye Sawaal Kiya Karte Hain Ke Dua-E-Qunoot Me Rafa Yadain Ke Ba’d Haath Baandhna Kis Hadees Se Saabit Hai?
.
Ye Mahez Sharaarat Ke Liye Sawaal Hai Aur Ye Dikhlaana Hai Ke Ahnaaf Bila Daleel
Fiqhi Masaayel Par Amal Karte Hain…
.
Ghair Muqallideen Ki is Qism Ki Sharaarat Ki Aam Aadat
Hai…is Sawaal Ko Sharaarat is Liye Keh Raha Hun Ke Ye Sab Ko Ma’loom Hai Ke Haalat-E- Qiyaam Me Jab Qiyaam Ka Baqa Mustaqil Rukn Ki
Haisiyet Se Ho To Musalli Haath Baandh Kar Hi Khada Hota Hai…Dua-E-Qunoot Ke Liye Mahez Haath Uthaane Se Waza Saabiq Badli Nahi…Jab
Saabiqah Haalat Aur Waza Badli Nahi Aur Jaise Pehle Musalli Haalat-E-Qiyaam Me Tha Waise Hi Ab Bhi Haalat-E- Qiyaam Hi Me Hai..To Jis Tarah
Haath Baandh Kar Pehle Khada Tha Ab Bhi Wo isi Tarah Khada Rahega..
.
Sahaaba Kiraam (R.A) Se ALLAH Ke Rasool (S.A.W.S) Ki Namaaz Ka Jo Naqsha Ahaadees Ki Kitaabon Me Pesh Kiya Gaya Hai….Usme Rafa Yadain Ke Ba’d
Haalat-E-Qiyaam Me Waza ul Uameen Alashshimaal Ya Wazauz Ziraa’ Alalz Zira Ka Lafz
Aaya Hai..
.
Jiska Matlab Ye Hai Ke Aap (S.A.W.S) Jab Namaaz Me Rafa Yadain Ke Ba’d Qiyaam Farmaate To Apna Daahena Haath Baayen Haath Par Rakhte…
.
Aap (S.A.W.S) Ki Namaaz Ki is Haalat Ka Bayaan Ahaadees Ki Aam Kitabo Me Hai…Pas
Haalat-E-Qiyaam Me Haath Baandhna ek Do Hadees Se Nahi Balke Ahaadees-E- Kaseera Se Saabit Hai…Aur Jo Baat Ahaadees-E-Kaseera Se
Saabit Ho Uske Baare Me Ye Sawaal Karna Ke Wo Kis Hadees Se Saabit Hai Mahez Sharaarat Hai…
.
Ye Toh is Tarah Ka Sawaal Huwa Ke Koi Ghair Muqallideen Se Puchhe Ke Tum Jo Namaaz Me Khade Ho Kar Kamar Khujlaate Ho Ya Sar
Khujlaate Ho Aur Phir Seenah Par Haath Baandh Lete Ho Ye Kis Hadees Se Saabit Hai?
.
Dosto Se ek Baat Ye Arz Karni Hai Ke Ham Log Sirf Ghair Muqallideen Hi Ko Sawaalaat Karne Ka Mauqa Na Den..Balke Unse Bhi Sawalaat Karne Ki
Aadat Daalen..
.
Masalan: isi Masla Me Ghair Muqallideen Se Sar Aur Kamar Khujlaane Wale Sawaal Ke Ba’d Darj-E-Zel Sawaal Karke Unse Jawaab Haasil Karen…
.
(1) Pehla Sawaal Ye Hai Ke Ghair Muqallideen Dua-E- Qunoot Me Haath Uthha Kar Dua Karte Hain..Unka Ye Amal Kis Hadees Se Saabit Hai?
.
(2) Dosra Sawaal Ye Hai Ke Ghair Muqallideen Bila Takbeer Kahe Huwe Dua-E- Qunoor Me Haath Uthaate Hain Takbeer Ka Na Kehna Kis Daleel Se Saabit Hai?
.
(3) Teesra Sawaal Ye Hai Ke Ghair Muqallideen Dua-E- Qunoot Sirran (Aahista) Padhte Hain Ya Jehran (Buland Awaaz Se) Agar Sirran Padhte Hain To iski Hadees Pesh Karen..Aur Agar Jehran Padhte Hain To iski Hadees Pesh Karen?
.
(4) Chautha Sawaal Ye Karen Ke Fataawa Ahle Hadees Jild 3 Safha 206 Me Likha Hai Ke Dua-E-Qunoot Ruku Ke Ba’d Padhna Mustahab…Bukhari Shareef Me Ruku Ke Ba’d Hai…Agar Ghair
Muqallideen Sachche Hain To Bukhari Shareef Me Koi ek Hadees Bhi Aisi Dikhlaaen Jisse
Ma’loom Hota Ho Ke Witr Ki Dua-E-Qunoot Ko Huzoor (S.A.W.S) Ne Ruku Ke Ba’d Padha Ho?
.
Agar Aap isi Masla Me Ghair Muqallideen Se Ye Chand Sawaalaat Karlen To Unki Saari Ahle Hadeesiyet Hawa Ho Jaayegi Aur Khabeesiyat
Saamne Aa Jayegi…
.
Yahi Wajah Hai Ke Ye Ghair Muqallideen isi Masla Qunoot Me Dhoka….Fareb Khayaanat..
Sharaarat Sab Se Kaam Le Rahe Hain Aur Be Sharam itne Hain Ke Sheesha Ke Ghar Me Rehte
Huwe Aahani Deewaaron Ke Qasrhaaye Shaahi Par Patthar Phenkte Hain…
.
Ab Dua-E-Qunoot Me Raf Yadain Ki Daleel Mulaahaza Farmaayen:
.
(1) QAALA (ABU USMAANA): KAANA UMARA YARFA’U YADAIHI FIL QUNOOTI. ”Hazrat Abu Usmaan Farmaate Hain: Hazrat Umar (R.A) Qunoot
Me Apne Dono Haath Uthaate The” (Juz Rafa ul Yadain Lil Bukhari Safha 146 Hadees No: 162…Qiyaam ul Lail Lilmaruzi Safha 230…Assunan ul Kubra Lilbaihaqi Jild 3 Safha 212)
.
(2) ANIBNI MAS’OODIN ANNAHU KAANA YAQRA’U FEE AAKHIRI RAKA’TIM MINAL WITRI QUL HUWA-ALLAHU AHAD SUMMA YARFA’U YADAIHI FAYAQNUTU QABLAR RAKA’TI. ”Hazrat Abdullah Bin Mas’ood (R.A) Witr Ki Raka’t Me QUL HUWA-ALLAHU AHAD Padhte The Phir Ruku Me Jaane Se Pehle Apne Dono Haath Uthate The”
(Juz Rafa’ ul Yadain Lil Bukhari Safha 146..Hadees No: 163, Musannaf ibne Abi Shaiba Jild 4 Safha 531)
.
(3) Hazrat Abu Hurairah (R.A) Ke Baare Me Marwi Hai
KAANA ABU HURAIRATA YARFA’U YADAIHI FEE
QUNOOTIHEE FEE SHAHRI RAMZAANA. ”Hazrat Abu Hurairah (R.A) Ramazaan Ke Maheena Me Dua-E-Qunoot Ke Liye Haath Uthaate The” (Qiyaam Ullail Lilmaruzi Safha 230…Sunan E Kubra Baihaqi
Jild 3 Safha 41)
.
NOTE: Chunki Mujhe Ek Bhi Sareeh Hadees Aap (S.A.W.) Se is Baare Me Na Mil Saki isliye Aa Saar E Sahaba (R.A) KO Pesh Kiya Hai…Aur Saahaba (R.A)
Ka Qaul O Fa’l Hamaare Nazdeek Hujjat Hai Aur inka Ye Amal Bhi Apni Daleel Ke Liye Kaafi Hai..Alhamdullilha.
.
Bahamdulillah.Wassalaam

4 comments:

  1. Apke chothe sawal ka jawab

    Dua e Qunoot witr mein hath uthane ke bare mein koi marfoo riwayat nahi hai lekin Hadiths ke kitabo me Baaz Sahaaba Ikraam r.a. ke asaar milte hain. Islamic shariah me jab koi baat RasoolAllah se na mile aur sahaba se wo amal mil jaye bina kisi dusre sahaba ka aetraz kiya to us amal ko apnane me koi harj nahi.

    Ibn Masood kahte hai ki wo Witr me apne hath uthate the aur us ke baad use niche kar lete the.

    Abdur Razzaq (4/325), Sanad Hasan.

    Qunut me hath uthana Umar r.a. se bhi sabit hai.

    Al-Bayhaqi in a report which he classed as saheeh (2/210)

    ReplyDelete
    Replies
    1. jo apne Dua-E-Qunoot Me Raf Yadain Ki Daleel pesh ki hai usme ye kahi nahi sabit hai ki Raf Yadain k liye hath uthate the...ya kano tak hath uthate the....ab aap usse Raf Yadain k liye keh rhe hai ..or apni bat sabit kar rhe hai...

      Delete
  2. Agar apko Ilm nahi hai to pehle haasil kare...sab hadiths bukhari me hi nahi hai..or islam ko samjhe pehle...bina ilm haasil kare ap apne galat ilm dusro ko jo phela rahe hai iska bhi apko jawab dena padhega..ya to pehle sab hadiths ka mutalla karle...us k bad kuch likhe...mulla molviyo ne jo keh diya wo na copy paste kre...
    JAZAK ALLAH KHAIR

    ReplyDelete
  3. What Is Baccarat? | Vielebauer
    When 카지노사이트 playing Baccarat, 1xbet korean the dealer can choose between 바카라 three or four numbers of hands. The odds range from 100-1,000 for a bet to 100-1,000 for a bet to 100-1,000 for a

    ReplyDelete